Pages

دینی مدارس کی اہمیت قدر مدرسہ تعلیم اسلامی ا سکول

1 DARDMAN DARKHAST

(Deeni Madaris ki Ahmiat Qadr Madrasa Education Islamic School University)


1. Deeni Madaris ki Qadr Kijie. Yeh Islam ke Qile Hain. Jahan Deeni Madaris Mazboot honge wahan dheere dheere deen bhi mazboot hoga.

2. Dawat ke kam ko Deeni Madaris aur Ulma karam ki sakht zaroorat hai. Madaris ka har tarah se iKram aur Taawun kijie. 

3. Deeni Madaris se dawat ke kam mein Taawun aur sarparasti lijie. Agar woh waqt farigh kar ke sarparasti kar dein to bahut accha, agar woh deen ke dusre kamon mein mashgool hon tab bhi unka waisa hi ikram kijie.

4. Agar kisi Aalim ko Dawat ke kam se ya sathion ki ghalti ki wajah se kuch ghalat Fahmi ho to use door karne ki koshish kijie. Agar unki ghalat fahmi door na ho aur woh khuda na khasta Tablighi jamaat ki mukhalfat karein tab bhi aap unka ikram kijie. Aur unse Badguman na hoie. Balki Hikmat, sabr,ikram,khidmat aur dua se unka dil jitie. Insha Allah woh apki rahbari ke liye Tayyar ho Jaenge. Agar na bhi karein to bhi woh deen ka kam hi kar rahe hain.

JAZAKALLAH